Tuesday, April 12, 2011

"JAN LOKPAL BILL ROKO AANDOLAN?"

jan lokpal bill paas na ho paye ismein congress apni puri taaqt laga rahi h. kabhi kapil sibal ke ulte siedhe bayan de rahe hai ya phir abhishek manu singhvi ke bayan. aaj maine dainik jagran mein pdha ki ek group jan lokpal bil ke khilaf mumbai me aandolan karega aur mujhe puri umeed hai is mein bhi congress ka hi pura haat hai. "is group ka kahna hai ki jan lokpal bill ager paas ho gaya to "lokpaal" desh mein sabse bada ho jayega aur sansad aur shamvhidan ka koi mahtev nahi rah jayega." main kahta hu ki agar desh ko corruptionr se bachana hai to is ke liye shamvidhan kisi kaam ka nahi hai kyunki ye netao ne apne fayede ke liye banaya hai aur rahi baat sansad ki to sansad ko khatm hi kar diya jaye to desh se corruption apne aap hi khatm ho jayega. humare desh ka sara paisa to "M.P." ke upar kharc hota hai aur jo bachta hai wo use loot lete hai. kapil sibal kahte hai ki ye jan lokpal bil garibon aur anpadhao ka kya fayeda karega, ye in ke kisi kaam ka nahi hai. to sibal ji desh mein garibi isi corruption ki wajha se hai. congress ko ab apne netao ke jail jane ka dar satane laga hai. pahle to sabhi raja bane hue the lakin ab jan lokpal ke naam ke tjanedar se sabki ninden udi hui hai. isliye congress is bill ko har haal mein rokne mein apna pura zor lga rahi kabhi direct to kabhi indirrct tarike se. chahe jo ho jaye ya congress jietna bhi zor lagaye ye bill ab har haal mein aana chahiye aur anna ke dwera suru kiya gaya aandolan ab rukna nahi chahiye. ab hum sabhi ko kisi bhi haal mein piche nahi hatna hai. ab baat desh ki hai aur desh hai to hum hai. JAI HIND